Nigaahen garam say mujh ko na dekh ae dozakh. Tujhe khabar nahi kiska gunaahgaar hoon mai. A. Malik-Malegaon 9226217133 -=(S.D)=- Ek parwaz dikhai di hai. Teri aawaz sunai di hai. Aag mein raat jala hai kya kya. Kitni khush rang dikhai di hai. R. A. Amrohi 9373216938 -=(S.D)=- Kyun bikhar jaunga mai sukha hua patta nahi. Woh khiladi hun kisi maidaan me jo kachcha nahi. Kon mujreem hai koi usse b to puche zara. Janta sach hai magar sach baat wo kehta nai. -=(S.D)=- Mukhalif ko mitana aagaya hai. Humein khanjar uthana aagaya hai. Jawani mein qadam rakha hai jab se. Kisi ko zulm dhana aagaya hai. -=(S.D)=- Khulus mehrbaan hai aur main hoon. Ajab yeh imtehaan hai aur aur main hoon. Woh jisko ho gaya bichde zamana. Ab us ki dastaan hai aur main hoon. -=(S.D)=- Band rehte hain gharo mein uff hamari bebasi. Ab darwaza kisi bhi cheenkh par khulta nahi. -=(S.D)=- Khoob unka aana hai. Khoob unka jana hai. Ban sanwar k aate hein. Aur bigad k jate hein. -=(S.D)=- Chand k daagh dikhate ho chale jate ho. Roz ek teer chalate ho chale jate ho. -=(S.D)=- Unko dekhegi tar bah tar aankhein. Ye ebadat bhi ba wazu hogi. -=(S.D)=- Barq ka khauf nahi shaakh pe rahem aata hai. Aashyana main ne banaya to yeh jal jayega. -=(S.D)=- Hum to dil wale hein dil ka hi kaha mante hai. Hum ne dilli ki taraf to kabhi dekha hi nahi. -=(S.D)=-