Daulat khaad ki tarah hai. Jab tak use phailaya na jaye fayeda nahi hota. -=(S.D)=- Insaan chehre se nahi ikhlaaq se pehchana jata hai. -=(S.D)=- Agar khushboo gulab se nikalti hai to dil kash jhonka ban kar mehbub ban jati hai. -=(S.D)=- Kisi ki tareef karna badi baat hai aur us se badkar ye hai k apni khaami ko qubool kare. -=(S.D)=- Badsurat chehra badsurat dimaagh se behtar hai. -=(S.D)=- Khush rehna chahte ho to dusro ko khush rakho. -=(S.D)=- Mohabbat woh saltanat hai jahaan koi hukmeraan nahi hota. -=(S.D)=- Maqsad k bina zindagi aisi dubti kashti hai. Jise apna sahil ka pata na ho. -=(S.D)=- Jhuta sab se pahle apne aap ko nuksaan pohnchata hai. -=(S.D)=- Dunya mein har shaks achche adami ki talash mein rehta hai. Lekin khud achcha aadmi nahi banta. -=(S.D)=-